Thursday, April 15, 2010

बाप रे बाप खाप




aaj khaap ka naam sunte hi sabke muh se yahi baat nikalti hai ki baap re baap khaap. khaap aaj se hi vivaad me nahi hai balki ek labe arse se eske saath vivaad ka chooli daaman ka saath raha hai. par aaj ka samay media yug hai aur media kisi bhi mamle ko bhunane se baaj nahi ata. parantu eske kai sakaratmak pahlu bhi hai jab media jyada sakriya nahi tha to najane kitne hi manoj kitni hi babli in khaapo ke tuglaki farmano ki shikaar hue ho. khair kuch bhi ho khaape aaj bhi ye baat maanne ko tayaar nahi hai ki unhone kabhi kisi ko shararik dannd diya hai. abhi 13 april ko kurukshetra me hue sarvdharm sarvkhaap mahapanchayat ki baat hi lelo khaapo ke jo thekedaar doosro ka insaaf karte hai wo manch par apni bate manwane ke liye lato ghuso ka upyoog karte najar aie. shyaad inhe ye abhaas nahi tha ki inki is harkat se logo ke beach unki chavi aur jyada kharaab hogi aur jo abhyaan unhone apni chavi sudharne ke liye chalaya tha wo uki ijjat utaar dega. khair khaapo ke bare me kya kahe wo to ek bhudhi maansikta wale logo ki jamaat hai jo log apne faislo ko doosro par thoopna apna adhikaar samajhte hai lekin harbaar ya har maamle me aisa ho ye jaroori nahi. jyadatar mamlo me khaapoke nirnyo ko sabhi loog manyata de dete hai aur khaape hamari nyaay pranali ka bhoojh kam karti hai. mere najarye se agar khaape apni jimmederi ko samajhte hue sahi nirnay de aur aur samay ke saath ho rahe badlav ko apnale to ye desh ki tarakki me ek mahatvpurn bhumika ada kar sakti hai.

No comments:

Post a Comment